Hamein ChhoD Kidhar Sidhaare Piyare
hamein chhoD kidhar sidhaare piyare
hain mushtaq dide tumhaare piyare
in aankhon ko baadam o nargis se nisbat
idhar Tuk to dekho hamare piyare
ye sarw-e-sahi aur shamshad sare
tumhaare qad upar se ware piyare
ye KHuban-e-hindi-o-chin-o-chigil bhi
tasadduq gae tujh pe aare piyare
tujhe TukTuki bandh sab tak rahe hain
falak tak bhi bin aankh tare piyare
libas-e-zar-o-gul ki hajat nahin hai
tujhe ai KHuda ke sanware piyare
teri nichi in chitwanon ke Thagon ne
bidesi banaw hi mare piyare
use sai dena aur is ko badhai
ye chhal-bal batao to bare piyare
paDo puTki aise tumhaare gunon par
tumhein hum to samjha ke haare piyare
wo majlis ki majlis jami aan kar phir
hue hum hain aaKHir kinare pyare
haTa tifl-e-dil 'azfari' ka tere dekh
wo baadam o aam aur chhuhaare pyare
(574) Peoples Rate This