Ghairon Ke Sath Gate Jate Ho

ghairon ke sath gate jate ho

chuTkiyon mein hamein uDate ho

kaun ustad mil gaya kaamil

kis se zarben ye sikh aate ho

naqsh kis ka upar uTha munh par

ab to naqsha naya biThate ho

kabhu so rahte ho dupaTTa tan

kabhi ek tan mar jate ho

kabhu karte ho jhanjh aa hum se

kabhi jhanjh aur daf bajate ho

kabhu laDne ka tar hai aur gah

tar tambur par chaDhate ho

tali dai thapDi mar aur laD-bhiD

thap murdang par lagate ho

hoti hai jab kahen se dut-dapak

kyun hamein aa ke khaDkhaDate ho

wada Talta hai jab tu rah mein dekh

butti de mujh ko giDgiDate ho

'azfari' dost ko rula piyare

dushmanon ke tain hansate ho

(554) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghairon Ke Sath Gate Jate Ho In English By Famous Poet Mirza Azfari. Ghairon Ke Sath Gate Jate Ho is written by Mirza Azfari. Read famous Poem Ghairon Ke Sath Gate Jate Ho for youth and Student by Mirza Azfari. Free Download Ghairon Ke Sath Gate Jate Ho in PDF.