Dholaki Dham-dhami KHanjri Bhi Bajaani Jaani
Dholaki dham-dhami KHanjri bhi bajaani jaani
tan ki jaan magar tum ne na jaani jaani
hil gae mil gae an-jaanon se jun jaan pahchan
par meri qadr zari tum na pahchani jaani
lag chale jo ki raqibon ne lagaya tum ko
sanchi aur jhuTi koi baat na chhani jaani
jo kaha main ne na tum ne kabhi dhar kan suna
baat kya aisi meri tum ne diwani jaani
man ne teri to mara hamein ab to man ja
ye haTela nahin dekha koi mani jaani
jaan-kani mein to zara aa ke dikhao didar
jaan mar jaunga kahta hi main jaani jaani
raat din ye jo suluk hum se kiya karte ho
dil mein kya jaaniye kya tum ne hai Thani jaani
sarf ki apni tere ishq mein jaani sab umr
'azfari' ne na buDhapa na jawani jaani
(601) Peoples Rate This