Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8f10290301301b814bbd6ba4bc01a7df, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
DhunDhta Hai Koi Rasta Mere Aaine Mein - Mirza Athar Zia Poetry In English - Darsaal

DhunDhta Hai Koi Rasta Mere Aaine Mein

DhunDhta hai koi rasta mere aaine mein

qaid jo shaKHs hai mujh sa mere aaine mein

khinch le tujh ko na aaine ke andar ka tilism

ghaur se dekh na itna mere aaine mein

us ke jaisa hun main aaine ke bahar koi

rah raha hai wo jo mujh sa mere aaine mein

main hi aaina-e-duniya mein chala aaya hun

ya chali aai hai duniya mere aaine mein

aks kuchh aur nazar aata hai mera sab ko

kis ne ab tak mujhe dekha mere aaine mein

ru-ba-ru hota hai ek shaKHs bhi mujh sa 'athar'

main akela nahin hota mere aaine mein

(389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DhunDhta Hai Koi Rasta Mere Aaine Mein In English By Famous Poet Mirza Athar Zia. DhunDhta Hai Koi Rasta Mere Aaine Mein is written by Mirza Athar Zia. Read famous Poem DhunDhta Hai Koi Rasta Mere Aaine Mein for youth and Student by Mirza Athar Zia. Free Download DhunDhta Hai Koi Rasta Mere Aaine Mein in PDF.