Wo Chaal ATkheliyon Se Chal Kar Dil O Jigar Raunde Dalte Hain
wo chaal aTkheliyon se chal kar dil o jigar raunde Dalte hain
abhi jawani ka hai jo aalam na dekhte hain na bhaalte hain
chala hai pahlu se yar uTh kar gham-e-judai ko Talte hain
kabhi to hum dil ko thamte hain kabhi jigar ko sambhaalte hain
kabhi na jin ko lagaya tha munh gale mein bahen wo Dalte hain
jo mangta hun main ek bosa to aap aankhen nikalte hain
agar yahi hai talawwun un ka KHuda hi hai wada ho jo pura
kaha tha kal aaj wasl hoga wo aaj phir kal pe Talte hain
na qahr raftar-e-naz Dhae lachak na waqt-e-KHiram aae
KHuda hi nazuk kamar bachae ki paenche wo sambhaalte hain
na jaan-ba-lab kyun mariz-e-gham ho pae-ayaadat na aae dekho
masih kahte hain log jin ko wo jaan kar mar Dalte hain
kabhi ye kahte hain dard-e-sar hai kabhi ye kahte hain ab sahar hai
sitam ye mushtaq-e-wasl par hai hazaron hile nikalte hain
nikalun arman kyun na ji ke ki mast hon jam-e-ishq pi ke
main sadqe is apni be-KHudi ke ki dauD kar wo sambhaalte hain
kasi ke 'anjum' jo hain sikhae to hain naya rang aaj lae
ki chupke baiThe hain sar jhukae na bolte hain na chaalte hain
(374) Peoples Rate This