Pae-gunah Hai Teri Panah Ki TaKHsis
pae-gunah hai teri panah ki taKHsis
ki hai tujhi pe har ek dad-KHwah ki taKHsis
jo aap samjhe hain mujrim hamein to kuchh nahin Dar
ki ki hai aap hi ne do gawah ki taKHsis
firaq-e-yar mein be-roe ban nahin paDti
asar ke waste kar di hai aah ki taKHsis
na dil churaate hamara na tum KHajil hote
pae-hijab hai nichi nigah ki taKHsis
dikhawe aur koi apna yar zohra-jabin
jo aasman nahin us rashk-e-mah ki taKHsis
pahunch hi jate kabhi phir phira ke dar pe tere
ye tu ne kahe ko ki ek rah ki taKHsis
tamam KHalq-e-KHuda tujh ko chahne lagti
laga na deta agar tu panah ki taKHsis
wo mujh se kahte hain tum chahte nahin mujh ko
mere Dubone ko karte hain chah ki taKHsis
hai teri zarra-nawazi ki ye dalil adna
ki aasman ke hai ham-rah jah ki taKHsis
(406) Peoples Rate This