Na Hui Saf Tabiat Hi To Hai
na hui saf tabiat hi to hai
rah gai dil mein kudurat hi to hai
bha gain dil ko adaen un ki
khub gai aankhon mein surat hi to hai
meri mayyat pe na aae na sahi
na hui aap ko fursat hi to hai
nahin karta main jafa ka shikwa
aap kya kijiye aadat hi to hai
nahin aata kasi pahlu aaram
nahin kaTti shab-e-furqat hi to hai
nikli qatil na tere tir ke sath
dil hi mein rah gai hasrat hi to hai
mujh se aasi pe ye baKHshish ye karam
banda-parwar tari rahmat hi to hai
na Tali sar se bula-e-furqat
paD gai jaan pe aafat hi to hai
hum ne phera na dil apna tujh se
jaan de baiThe murawwat hi to hai
hashr barpa hai tari qamat se
ye bhi andaz-e-qayamat hi to hai
na raha zabt ka yara 'anjum'
na chhupi hum se mohabbat hi to hai
(378) Peoples Rate This