Misal-e-charKH Raha Aasman Sar-gardan
misal-e-charKH raha 'asman' sar-gardan
par aaj tak na khula ye ki justuju kya hai
yahan to kaam tamanna hi mein tamam hua
magar unhon ne na puchha ki aarzu kya hai
ye bahs kasrat o wahdat ki hum se kyun waiz
hamari aankhon se tu dekh chaar-su kya hai
koi to chahiye raKHna umid-wari ko
barae-chaak-e-jigar hajat-e-rafu kya hai
masal jahan mein hai mushte namuna az-KHurwar
jo haT-dharam nahin tum ho to haT ki KHu kya hai
gawah hain ye teri bahki bahki baaton ke
ye jam kya hai ye mai kya hai ye subu kya hai
tumhaare dant nahin hire ki hain ye kaniyan
tumhaare samne moti ki aabru kya hai
(358) Peoples Rate This