Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_85a245f73a287de1e2ab5528d70cced8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Lagi Hai Misi Pan Khae Hue Hain - Mirza Asman Jah Anjum Poetry In English - Darsaal

Lagi Hai Misi Pan Khae Hue Hain

lagi hai misi pan khae hue hain

sunane pe beDa uThae hue hain

ghazab hai hasinon se dil ka lagana

ye aafat ke putle banae hue hain

mere KHat ko phaDa raqibon ke aage

kisi ki wo paTTi paDhae hue hain

ulajhne se baalon ke bigDo na sahib

tumhaare hi ye sar chaDhae hue hain

kaleja hatheli pe rakh lun to jaun

wo hathon mein mehndi lagae hue hain

shab-e-hijr jab KHwab dekha ye dekha

ki tujh ko gale se lagae hue hain

teri tegh ki aab jati rahi hai

mere zaKHm pani churae hue hain

jidhar dekhta hun unhen ka hai jalwa

wo nazron mein aise samae hue hain

utarenge kis kis ko nazron se 'anjum'

wo kyun aaj tewari chaDhae hue hain

(394) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lagi Hai Misi Pan Khae Hue Hain In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Lagi Hai Misi Pan Khae Hue Hain is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Lagi Hai Misi Pan Khae Hue Hain for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Lagi Hai Misi Pan Khae Hue Hain in PDF.