KHuda KHuda Kar Ke Aae Bhi Wo To Munh LapeTe PaDe Hue Hain
KHuda KHuda kar ke aae bhi wo to munh lapeTe paDe hue hain
na kahte hain kuchh na sunte hain kuchh kasi se jaise laDe hue hain
hazar-ha mannaten karenge lipaT ke qadmon pe sar dharenge
na jaane denge na jaane denge abas wo bigDe khaDe hue hain
sawal karte hain mujh se kya kya pae-KHuda mere rahbar aa
paDa main takta hun tera rasta nakir-o-munkir khaDe hue hain
rahi jo un se tumhein kudurat to baDh gai wahshiyon ki wahshat
uDai is darja KHak-e-hasrat kamar kamar tak gaDe hue hain
idhar to jine se hum hain aari udhar mangate ho tum sawari
ye kaisi hain garmiyan tumhaari phaphule dil mein paDe hue hain
farebi aankhen rasili chitwan ada ishaara nigah rahzan
ye apne do tin hain jo dushman nazar mein anjum taDe hue hain
(401) Peoples Rate This