Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_eb0371251413fc86d216e15c8c5dcf59, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ilahi Koi Hawa Ka Jhonka Dikha De Chehra UDa Ke Aanchal - Mirza Asman Jah Anjum Poetry In English - Darsaal

Ilahi Koi Hawa Ka Jhonka Dikha De Chehra UDa Ke Aanchal

ilahi koi hawa ka jhonka dikha de chehra uDa ke aanchal

ki jhankta bhi hai wo sitam-gar to khaDkhaDi mein laga ke aanchal

zarur Dhaega koi aafat zarur fitna bapa karega

ye tera aTkheliyon se chalna jhuka ke gardan uTha ke aanchal

jo tum ko manzur hai phir aana tumhin kaho phir ye kaisa jaana

jata ke ghussa suna ke baaten chaDha ke tewari chhuDa ke aanchal

zamana furqat ka jae ya-rab wo waqt wo din bhi aae ya-rab

ada karun main tera dogana khaDe rahen wo bichha ke aanchal

zarur hain kuchh na kuchh kashida ki rahte hain dur dur hum se

jo pas bhi aa ke baiThte hain to zer-e-zanu daba ke aanchal

tumhein hai sahib lihaz kis ka ye kosna chupke chupke kaisa

dua karun main ragaD ke matha kaho tum aamin uTha ke aanchal

tera ye buTa sa qad qayamat pe chaal matwali aafat aafat

ye pyari surat sitam dupaTTa ghazab ki rangat bala ke aanchal

samajh le ye dil mein 'asman' tu wo loT hain tere loTne par

jo oDh kar laTpaTa dupaTTa luTate hain adbada ke aanchal

(404) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ilahi Koi Hawa Ka Jhonka Dikha De Chehra UDa Ke Aanchal In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Ilahi Koi Hawa Ka Jhonka Dikha De Chehra UDa Ke Aanchal is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Ilahi Koi Hawa Ka Jhonka Dikha De Chehra UDa Ke Aanchal for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Ilahi Koi Hawa Ka Jhonka Dikha De Chehra UDa Ke Aanchal in PDF.