Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_56665b0a717b0b5756a0bad0e1151238, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gham-e-hijr Ke Gae Din Guzar Hua AaKHir Apna Visal Hi - Mirza Asman Jah Anjum Poetry In English - Darsaal

Gham-e-hijr Ke Gae Din Guzar Hua AaKHir Apna Visal Hi

gham-e-hijr ke gae din guzar hua aaKHir apna visal hi

pa ye kya ghazab hai pae-KHuda tujhe aaj tak hai malal hi

hai anokha us ka jamal hi na wo badr hai na hilal hi

nahin banti koi misal hi balaghul-ula-be-kamalehi

meri aah ne ye kiya asar ki wo aan kar hue jalwa-gar

shab-e-tar-e-hijr hui sahar kashafudduja-be-jamalehi

hai usi ki shan mein la-fata hai usi ki shan mein hal-ata

hai usi ki shan mein innama-hasonat-jamio-KHisalehi

main sawal-e-wasl hun kar raha wo ye kahta hai ki na manunga

ye ajab tarah ka hai maKHmasa ki na hijr hai na visal hi

mujhe kis tarah na KHayal ho ki na 'anjum' un ko malal ho

kisi baat ka jo sawal ho nahin utni apni majal hi

(344) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-hijr Ke Gae Din Guzar Hua AaKHir Apna Visal Hi In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Gham-e-hijr Ke Gae Din Guzar Hua AaKHir Apna Visal Hi is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Gham-e-hijr Ke Gae Din Guzar Hua AaKHir Apna Visal Hi for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Gham-e-hijr Ke Gae Din Guzar Hua AaKHir Apna Visal Hi in PDF.