Gar Unhen Hai Apni Surat Par GhamanD
gar unhen hai apni surat par ghamanD
hum ko hai apni mohabbat par ghamanD
mere un ke phir bhala kyun-kar bane
KHatm hai donon ki KHaslat par ghamanD
kya nahin dekhi bulandi aah ki
kyun falak karta hai rifat par ghamanD
kaam qarun ke na aaya mal-o-zar
munimo beja hai daulat par ghamanD
baadshah-e-haft-kishor hai to kya
kar na do din ki hukumat par ghamanD
dekh kar aaina mujh ko dang hai
mujh ko bhi hai apni hairat par ghamanD
un ko apni subh-e-mahshar par hai naz
hum ko apni sham-e-furqat par ghamanD
chhup-chhupa kar dekh bhi lenge tumhein
hum ko bhi hai apni jurat par ghamanD
kuchh nahin kar sakta 'anjum' aap ka
aasman ko hai jo hasrat par ghamanD
(426) Peoples Rate This