Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b2cdfaa575d46d77e6375a227d2fd222, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dam-e-ruKHsat Jo Un Se Kah Ke Main UTTha KHuda-hafiz - Mirza Asman Jah Anjum Poetry In English - Darsaal

Dam-e-ruKHsat Jo Un Se Kah Ke Main UTTha KHuda-hafiz

dam-e-ruKHsat jo un se kah ke main uTTha KHuda-hafiz

lage jhunjhla ke wo kahne bahut achchha KHuda-hafiz

jo main jata hun uTh kar fi-amanillah kahta hun

tere munh se na o kafir kabhi nikla KHuda-hafiz

kaha hai kis ne tum se chumo-chaTo ja ke patthar ko

tumhaare zahido ab den o iman ka KHuda hafiz

hifazat mein wo dekhe ghair ki tujh ko qayamat hai

kabhi jo bad-gumani se na ho kahta KHuda-hafiz

suna hai aaj wo but KHub hi ban-Than ke aata hai

tere dil ka are o 'anjum'-e-shaida KHuda hafiz

(456) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dam-e-ruKHsat Jo Un Se Kah Ke Main UTTha KHuda-hafiz In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Dam-e-ruKHsat Jo Un Se Kah Ke Main UTTha KHuda-hafiz is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Dam-e-ruKHsat Jo Un Se Kah Ke Main UTTha KHuda-hafiz for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Dam-e-ruKHsat Jo Un Se Kah Ke Main UTTha KHuda-hafiz in PDF.