Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c1ad543f4fb743d726991be203556cbe, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bais-e-tark-e-mulaqat Batao To Sahi - Mirza Asman Jah Anjum Poetry In English - Darsaal

Bais-e-tark-e-mulaqat Batao To Sahi

bais-e-tark-e-mulaqat batao to sahi

chahne wala koi hum sa dikhao to sahi

kaisi hoti hai mohabbat nahin malum tumhein

ek do din kahin dil tum bhi lagao to sahi

bewafai ki hai tohmat chalo mana hum ne

han bhala hum se zara aankh milao to sahi

jaan de dunga magar tum ko na jaane dunga

uTh ke pahlu se bhala tum mere jao to sahi

nahin milne ki jo marzi hai na milna hum se

baat karna ki na karna magar aao to sahi

dekh lo jite hain ya marte hain mushtaq sada

apni aawaz zara un ko sunao to sahi

har tarah bigDe hue baiThe hain jaane ke liye

'asman' aaj koi baat banao to sahi

(427) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bais-e-tark-e-mulaqat Batao To Sahi In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Bais-e-tark-e-mulaqat Batao To Sahi is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Bais-e-tark-e-mulaqat Batao To Sahi for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Bais-e-tark-e-mulaqat Batao To Sahi in PDF.