Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bda64a0ca6bd2bb86a1940b776c5c52f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Anjum Agar Nahin Dar-e-dildar Tak Pahunch - Mirza Asman Jah Anjum Poetry In English - Darsaal

Anjum Agar Nahin Dar-e-dildar Tak Pahunch

'anjum' agar nahin dar-e-dildar tak pahunch

ho jae kash rauzan-e-diwar tak pahunch

jata hai koi kabe ko aur koi su-e-dair

mujh rind ki hai KHana-e-KHummar tak pahunch

nale ki na-rasai ne aajiz kiya hamein

ho jati warna aap ki sarkar tak pahunch

ye kya hai baiTha baaten banata hai dur se

isa agar bana hai to bimar tak pahunch

le jaegi baha ke kabhi sail-e-chashm-e-tar

'anjum' kabhi to hogi dar-e-yar tak pahunch

(412) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Anjum Agar Nahin Dar-e-dildar Tak Pahunch In English By Famous Poet Mirza Asman Jah Anjum. Anjum Agar Nahin Dar-e-dildar Tak Pahunch is written by Mirza Asman Jah Anjum. Read famous Poem Anjum Agar Nahin Dar-e-dildar Tak Pahunch for youth and Student by Mirza Asman Jah Anjum. Free Download Anjum Agar Nahin Dar-e-dildar Tak Pahunch in PDF.