Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0560619cc9903f82b0b3f5e4bbad6a0d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil-e-muztar Ko Samjhaya Bahut Hai - Mirza Anwar Beg Poetry In English - Darsaal

Dil-e-muztar Ko Samjhaya Bahut Hai

dil-e-muztar ko samjhaya bahut hai

hua tanha to ghabraya bahut hai

mubarak ho tujhe ye qasr-e-rangin

mujhe diwar ka saya bahut hai

mere dil ka ye aalam bhi ajab hai

ki jis par aa gaya aaya bahut hai

tere is phul se chehre ne ab ke

mere zaKHmon ko mahkaya bahut hai

tere wadon mein shayad kuchh kami hai

ufuq par chand gahnaya bahut hai

ye daulat le ke 'anwar' kya karunga

teri yaadon ka sarmaya bahut hai

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-muztar Ko Samjhaya Bahut Hai In English By Famous Poet Mirza Anwar Beg. Dil-e-muztar Ko Samjhaya Bahut Hai is written by Mirza Anwar Beg. Read famous Poem Dil-e-muztar Ko Samjhaya Bahut Hai for youth and Student by Mirza Anwar Beg. Free Download Dil-e-muztar Ko Samjhaya Bahut Hai in PDF.