Ulfat-e-ariz-e-laila Mein Pareshan Nikla
ulfat-e-ariz-e-laila mein pareshan nikla
qais manind-e-sahar chaak-gareban nikla
ban gae KHub hadaf us sitam-ijad ke aap
lijiye hazrat-e-dil aaj to arman nikla
na hui taqat-e-nazzara kisi aashiq ko
shola-e-husn hijab-e-ruKH-e-jaanan nikla
aa gai sadma-e-furqat se ajal aashiq ki
hijr-e-mahbub firaq-e-jasad-o-jaan nikla
ruh ne KHana-e-tan chhoD diya aaKHir-kar
mezban hum jise samjhe the wo mehman nikla
saf-dil bahr-e-jahan mein nahin rakhte daulat
chashma-e-mahr se kab gauhar-e-ghaltan nikla
tu wo hai husn mein yakta ki tajassus mein tere
aasman le ke charagh-e-mah-e-taban nikla
wo pari-ru hua qismat se meri mera mutia
KHat-e-taqdir KHat-e-mohr-e-sulaiman nikla
mere marne se hue saikDon arman shahid
'alim' anjam mein dil ganj-e-shahidan nikla
(374) Peoples Rate This