Sham-e-taklif Ki Duniya Mein Sahar Ho To Sahi
sham-e-taklif ki duniya mein sahar ho to sahi
hae kam-baKHt kahin dard-e-jigar ho to sahi
baiThne wale na baiThenge kabhi mahfil mein
o sitamgar tere dil mein mera ghar ho to sahi
dil-e-betab ka milna nahin mushkil lekin
hath bhar ka kisi sine mein jigar ho to sahi
hum ye samjhenge ki dil tha hi nahin sine mein
un ki duzdida nigahon ka asar ho to sahi
chhup gaya aankhon se ek nur bas itna kah kar
kya batane mein harj tha koi ghar ho to sahi
kah ke ye phir gai thin kahkashan se aankhen
tujh se milti hui wo rahguzar ho to sahi
phir dikhaunga main anmol jawahar 'alim'
meri qismat se koi ahl-e-nazar ho to sahi
(393) Peoples Rate This