Nuh Ka Tufan Ek Aansu Se Barpa Kijiye
nuh ka tufan ek aansu se barpa kijiye
ji mein aata hai ki ab qatre ko dariya kijiye
be-KHabar ban jaiye ya ahd pura kijiye
jis tarah se aap ka ji chahe achchha kijiye
isi-e-dauran sahi lekin koi shahid bhi ho
hum abhi to ji uThenge aap ishaara kijiye
ho chuka hona tha jo kuchh jaiye bas jaiye
marne wale ko na ab lillah ruswa kijiye
phir zara jhalki dikha kar ek zara chhup jaiye
dil ke har zarre mein aabaad ek duniya kijiye
dil hamara hai hum is ke hain azal se raaz-dar
aap KHud aa kar sar-e-bazar ruswa kijiye
kaun kahta hai ki in qisson ko phir dohraiye
dil ki aabaadi miTa kar zikr-e-sahra kijiye
raazdari ishq mein 'alim' nahin chhoTi si baat
dil hi dil mein sochta rahta hun ab kya kijiye
(415) Peoples Rate This