Na Falak Hoga Na Ye Kucha-e-qatil Hoga
na falak hoga na ye kucha-e-qatil hoga
mere kahne mein kisi din jo mera dil hoga
jab numayan wo sawar-e-rah-e-manzil hoga
na to main aap mein hunga na mera dil hoga
aadhi raat aa gai bas bas dil-e-betab sambhal
hum samajhte hain jo is karb ka hasil hoga
ruKHsat ai wahshat-e-tanhai-o-ghurbat ruKHsat
KHauf hi kya hai jo hamrah mere dil hoga
raat ka KHwab nahin jis ki har ek de tabir
ye wo arman hai pura jo ba-mushkil hoga
tera kya zikr hai zindan ki hilegi diwar
nala-kash jab koi paband-e-salasil hoga
Tal din main ne ye kah kah ke ziden bachpan ki
aaina bhi koi shai hai jo muqabil hoga
Dubne jaega shayad koi mayus visal
majma-e-am suna hai lab-e-sahil hoga
chaudhwan sal use deta hai muzhda 'alim'
le mubarak ho ki ab tu mah-e-kaamil hoga
(344) Peoples Rate This