Myan Se Tera Agar KHanjar Nikal Kar Rah Gaya
myan se tera agar KHanjar nikal kar rah gaya
mere bhi dil mein baDa arman sitamgar rah gaya
kya faqat kuche mein tere mera bistar rah gaya
balki mujh se chhuT kar dil hi kahin par rah gaya
mai-kashon ke daur mein baiThe the hum bhi ba-nasib
ab to KHali hath mein saqi ke saghar rah gaya
mere kis arman ne mere qatl se roka tujhe
jo kamar se tere yun KHanjar nikal kar rah gaya
dar tak us ke main pahunch jaunga ye kahta hua
tere kuche mein mera bhule se bistar rah gaya
maut aai hai mujhe lene ko ye kah de koi
rahne wala mar gaya ujDa hua ghar rah gaya
wae-nakaami ki uDne bhi na paya tha abhi
bandhte hi nama bazu-e-kabutar rah gaya
dil ki mayusi na puchho jab wo pahlu se uThe
kar hi kya sakta tha taDpa aur taDap kar rah gaya
sab ko lauh-e-qabr mera bhi yun hi degi nishan
aaine se jis tarah nam-e-sikandar rah gaya
ishq us ke gesuon ka kya hua 'alim' mujhe
sare aalam ka jo sauda tha mere sar rah gaya
(335) Peoples Rate This