AaKHir Na Chali Koi Bhi Tadbir Hamari
aaKHir na chali koi bhi tadbir hamari
ban ban ke bigaDne lagi taqdir hamari
ye ishq ke hathon hui tauqir hamari
bazaron mein bikne lagi taswir hamari
is tarah ke din raat dikhati hai karishme
taqdir pas-e-parda-e-tadbir hamari
jaldi na karo dhaar hai KHanjar pe abhi to
ho lene do sabit koi taqsir hamari
kuchh KHun ki chhinTen kahin ashkon ki nami hai
jati hai ajab shan se tahrir hamari
har samt dahak uThti hai ek aag jahan mein
lo deti hai jab raat ko zanjir hamari
bas Dal lo chehre pe naqab apne KHudara
be-rabt hui jati hai taqrir hamari
ye kahte hi bas mar gaya nakaam-e-mohabbat
tum bhi na hamare hue taqdir hamari
'alim' falak-e-tafraqa-pardaz ka Dar hai
bante hi bigaD jae na taqdir hamari
(347) Peoples Rate This