Tum Ho Bazm-e-aish Hai Wan Aur Sohbat-dariyan
tum ho bazm-e-aish hai wan aur sohbat-dariyan
hum hain kunj-e-gham hai yan aur jaan se bezariyan
tum ko sair-e-bagh-o-gul-gasht-e-chaman ka wan hai shauq
yan badan par hain hujum-e-dagh se gul-kariyan
dhyan hai aaraish-e-zulf-e-pareshan ka tumhein
yaad hain haal-e-pareshan ki meri kuchh KHwariyan
tum safa-e-said-o-bazu dikhate ho wahan
hum pe yan mu-e-badan karte hain nashtar-dariyan
tum ne dikhlai wahan piTh aur choTi ki phaban
yan meri chhati pe hain kale ne lahren mariyan
nek-o-bad donon se yan hum ne to aankhen mund lin
tum wahan chitwan ki dikhlate ho jadu-kariyan
yan ba-rang-e-paikar-e-taswir hum KHamosh hain
guftugu ki tum dikhate ho wahan tarrariyan
qahqahe tum marte ho wan ba-awaz-e-buland
dushmanon se yan chhupa kar hum hain karte zariyan
har mariz-e-gham ki jaan-baKHshi ka hai wan tum ko dhyan
khinch gain yan tul-e-shiddat se meri bimariyan
iztirab-e-dil se be-parda hua yan raaz-e-ishq
sujhti hain wan tumhein har baat mein tahdariyan
kya kisi se baat kije bhulte ek dam nahin
un bhalaon se wo baaton mein teri ayyariyan
chhin kar baaton mein dil ko 'lutf' se wo but bane
yaad rakhna ghair ki karna wahan dil-dariyan
(412) Peoples Rate This