KHubi Ka Teri Bas-ki Ek Aalam Gawah Hai
KHubi ka teri bas-ki ek aalam gawah hai
apni baghair dekhe hi haalat tabah hai
aalam suna jo naz ka hai us se al-aman
andaz-e-guftugu se KHuda ki panah hai
tewri ke Dhab hain aur nigah ke hazar Dol
chitwan ke lakh rang gharaz wah wah hai
naKHun ye dil hilal hai abru ke rashk se
mukhDe ka dagh rakhta kaleje pe mah hai
KHun-rez teri chashm ko batlate hain wale
chitwan mein sath kahte hain phir uzr-KHwah hai
KHubi ka tere baalon ki mazkur hai jahan
sumbul ka nam is jagah ek ru-siyah hai
deta hai teri qamat-e-dil-ju ka jo pata
be-saKHta wo khinchta ek dil se aah hai
go 'lutf'-e-KHufta-baKHt ke aao na KHwab mein
lekin tere KHayal ko nit dil mein rah hai
(476) Peoples Rate This