Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e1b0ef7d528e3b141e6cd94750fcc4c7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jis Din Se Hum Junun Ke Hain Daman Lage Hue - Mirza Ali Lutf Poetry In English - Darsaal

Jis Din Se Hum Junun Ke Hain Daman Lage Hue

jis din se hum junun ke hain daman lage hue

daman ki ja yahan hain gareban lage hue

allah re qaid-KHana-e-hasti ki dam ke sath

har ek qadam pe lakhon hain zindan lage hue

roya main dekh marqad-e-majnun ko dhaD mar

the ja-e-gul daraKHt-e-mughilan lage hue

bare chhuTe asir-e-bala us gali mein aaj

hain tud-ha-e-ganj-e-shahidan lage hue

yaran-e-pesh-rau zara Thahro ki jyun jaras

hum pichhe pichhe aate hain nalan lage hue

rakh soch kar qadam meri wadi mein gard-e-baad

panw se apne hain ye bayaban lage hue

koi to mere naseh-e-dana se ye kaho

dil chhuTte hain baaton mein nadan lage hue

kya din the wo bhi 'lutf' ki rahte the misl-e-zulf

kanon se us ke hum se pareshan lage hue

(466) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Din Se Hum Junun Ke Hain Daman Lage Hue In English By Famous Poet Mirza Ali Lutf. Jis Din Se Hum Junun Ke Hain Daman Lage Hue is written by Mirza Ali Lutf. Read famous Poem Jis Din Se Hum Junun Ke Hain Daman Lage Hue for youth and Student by Mirza Ali Lutf. Free Download Jis Din Se Hum Junun Ke Hain Daman Lage Hue in PDF.