Dekhna Jin Suraton Ka Shakl Thi Aaram Ki
dekhna jin suraton ka shakl thi aaram ki
un se hain masdud rahen nama-o-paigham ki
ruKHsat ai ahl-e-watan ab hum hain aur aawargi
haq rakhe buniyaad qaem gardish-e-ayyam ki
yaad ne un tang kuchon ki faza sahra ki dekh
har qadam par jaan mari hai dil-e-nakaam ki
gardish-e-chashm-e-butan ki bas-ki saghar-nosh hai
gardish-e-gardun ko hum kahte the gardish jam ki
jab se khincha 'lutf' ranj-e-furqat-e-yar-o-dayar
ab hui malum mehnat gardish-e-ayyam ki
(420) Peoples Rate This