Ilahi Jaan Di Hai Maine Kis Ke Ru-e-raushan Par

ilahi jaan di hai main ne kis ke ru-e-raushan par

hazaron shamen parwana bani hain mere madfan par

tajjub kya KHamida ho agar talwar qatil ki

chaDha hai KHun kis kis be-gunah ka us ki gardan par

wo be-insaf aur apni wafa ki dad ya qismat

guman-e-dosti hai sadgi se hum ko dushman par

ajab us jalwa-e-yakta mein nairang-e-tamasha hai

nai surat se chamka KHatir-e-shaiKH-o-barahman par

main hun marhun-e-minnat sulh-e-kul ka jab se ai 'arshad'

yaqin-e-dosti hone laga hai mujh ko dushman par

(404) Peoples Rate This

Mirza Abdul Ghafoor Gorgani Arshad's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Ilahi Jaan Di Hai Maine Kis Ke Ru-e-raushan Par In English By Famous Poet Mirza Abdul Ghafoor Gorgani Arshad. Ilahi Jaan Di Hai Maine Kis Ke Ru-e-raushan Par is written by Mirza Abdul Ghafoor Gorgani Arshad. Read famous Poem Ilahi Jaan Di Hai Maine Kis Ke Ru-e-raushan Par for youth and Student by Mirza Abdul Ghafoor Gorgani Arshad. Free Download Ilahi Jaan Di Hai Maine Kis Ke Ru-e-raushan Par in PDF.