ZaKHm Jhele Dagh Bhi Khae Bahut
zaKHm jhele dagh bhi khae bahut
dil laga kar hum to pachhtae bahut
jab na tab jagah se tum jaya kiye
hum to apni or se aae bahut
dair se su-e-haram aaya na Tuk
hum mizaj apna idhar lae bahut
phul gul shams o qamar sare hi the
par hamein in mein tumhin bhae bahut
gar buka is shor se shab ko hai to
rowenge sone ko ham-sae bahut
wo jo nikla subh jaise aaftab
rashk se gul phul murjhae bahut
'mir' se puchha jo main aashiq ho tum
ho ke kuchh chupke se sharmae bahut
(1027) Peoples Rate This