Yun Hi Hairan-o-KHafa Jon Ghuncha-e-taswir Hon
yun hi hairan-o-KHafa jon ghuncha-e-taswir hon
umr guzri par na jaana main ki kyun dil-gir hon
itni baaten mat bana mujh shefte se naseha
pand ke laeq nahin main qabil-e-zanjir hon
surKH rahti hain meri aankhen lahu rone se shaiKH
mai agar sabit ho mujh par wajib al-tazir hun
ne falak par rah mujh ko ne zamin par rau mujhe
aise kis mahrum ka mein shor-e-be-tasir hun
jon kaman garche KHamida hun pe chhuTa aur wahin
us ke kuche ki taraf chalne ko yaro tir hun
jo mere hisse mein aawe tegh-e-jamdhar sail-o-kard
ye fuzuli hai ki main hi kushta-e-shamshir hun
khol kar diwan mera dekh qudrat muddai
garche hun main naujawan par shairon ka pir hun
yun saadat ek jamdhar mujh ko bhi guzariye
munsifi kije to main to mahz be-taqsir hun
is qadar be-nang KHabton ko nasihat shaiKH-ji
baz aao warna apne nam ko main 'mir' hun
(584) Peoples Rate This