Ye Mir-e-sitam-kushta Kisu Waqt Jawan Tha
ye 'mir'-e-sitam-kushta kisu waqt jawan tha
andaz-e-suKHan ka sabab shor o fughan tha
jadu ki puDi parcha-e-abyat tha us ka
munh takiye ghazal paDhte ajab sehr-bayan tha
jis rah se wo dil-zada dilli mein nikalta
sath us ke qayamat ka sa hangama rawan tha
afsurda na tha aisa ki jun aab-zada KHak
aandhi thi bala tha koi aashob-e-jahan tha
kis martaba thi hasrat-e-didar mere sath
jo phul meri KHak se nikla nigran tha
majnun ko abas dawa-e-wahsaht hai mujhi se
jis din ki junun mujh ko hua tha wo kahan tha
ghafil the hum ahwal-e-dil-e-KHasta se apne
wo ganj usi kunj-e-KHarabi mein nihan tha
kis zor se farhad ne KHara-shikani ki
har-chand ki wo bekas o be-tab-o-tawan tha
go 'mir' jahan mein kinhon ne tujh ko na jaana
maujud na tha tu to kahan nam-o-nishan tha
(590) Peoples Rate This