Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1d35b82bb879a089513bec54dd3b76c3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yaro Mujhe Muaf Rakho Main Nashe Mein Hun - Mir Taqi Mir Poetry In English - Darsaal

Yaro Mujhe Muaf Rakho Main Nashe Mein Hun

yaro mujhe muaf rakho main nashe mein hun

ab do to jam KHali hi do main nashe mein hun

ek ek qurt daur mein yun hi mujhe bhi do

jam-e-sharab pur na karo main nashe mein hun

masti se darhami hai meri guftugu ke bich

jo chaho tum bhi mujh ko kaho main nashe mein hun

ya hathon hath lo mujhe manind-e-jam-e-mai

ya thoDi dur sath chalo main nashe mein hun

mazur hun jo panw mera be-tarah paDe

tum sargiran to mujh se na ho main nashe mein hun

bhagi namaz-e-juma to jati nahin hai kuchh

chalta hun main bhi Tuk to raho main nashe mein hun

nazuk-mizaj aap qayamat hain 'mir' ji

jun shisha mere munh na lago main nashe mein hun

(682) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaro Mujhe Muaf Rakho Main Nashe Mein Hun In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Yaro Mujhe Muaf Rakho Main Nashe Mein Hun is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Yaro Mujhe Muaf Rakho Main Nashe Mein Hun for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Yaro Mujhe Muaf Rakho Main Nashe Mein Hun in PDF.