Yarab Koi Ho Ishq Ka Bimar Na Howe
yarab koi ho ishq ka bimar na howe
mar jae wale us ko ye aazar na howe
zindan mein phanse tauq paDe qaid mein mar jae
par dam-e-mohabbat mein giraftar na howe
us waste kanpun hun ki hai aah nipaT sard
ye baw kaleje ke kahin par na howe
sad nala-e-jaan-kah hain wabasta chaman se
koi baal shikasta pas-e-diwar na howe
pazhmurda bahut hai gul-e-gulzar hamara
sharminda-e-yak-gosha-e-dastar na howe
mange hai dua KHalq tujhe dekh ke zalim
yarab kaso ko us se sarokar na howe
kis shakl se ahwal kahun ab main ilahi
surat se meri jis mein wo bezar na howe
hun dost jo kahta hun sin ai jaan ke dushman
behtar to tujhe tark hai ta-KHwar na howe
KHuban bure hote hain agarche hain nakoro
be-jurm kahin un ka gunahgar na howe
bandhe na phire KHun par apni to kamar ko
ye jaan-e-subuk tan pe tere bar na howe
chalta hai rah-e-ishq hi us par bhi chale tu
par ek qadam chal kahin zinhaar na howe
sahra-e-mohabbat hai qadam dekh ke rakh 'mir'
ye sair sar-e-kucha-o-bazar na howe
(643) Peoples Rate This