Yar Ne Humse Be-adai Ki
yar ne hum se be-adai ki
wasl ki raat mein laDai ki
baal-o-par bhi gae bahaar ke sath
ab tawaqqo nahin rihai ki
kulfat-e-ranj-e-ishq kam na hui
main dawa ki bahut shifai ki
turfa raftar ke hain rafta sab
dhum hai us ki rahgirai ki
KHanda-e-yar se taraf ho kar
barq ne apni jag-hansai ki
kuchh murawwat na thi un aankhon mein
dekh kar kya ye aashnai ki
wasl ke din ko kar-e-jaan na khincha
shab na aaKHir hui judai ki
munh lagaya na duKHtar-e-raz ko
main jawani mein parsai ki
jaur us sang-dil ke sab na khinche
umr ne saKHt bewafai ki
kohkan kya pahaD toDega
ishq ne zor-azmai ki
chupke us ki gali mein phirte rahe
der wan hum ne be-nawai ki
ek nigah mein hazar ji mare
sahiri ki ki dilrubai ki
nisbat us aastan se kuchh na hui
barson tak hum ne jabha-sai ki
'mir' ki bandagi mein jaan-bazi
sair si ho gai KHudai ki
(533) Peoples Rate This