Wo Dekhne Hamein Tuk Bimari Mein Na Aaya
wo dekhne hamein Tuk bimari mein na aaya
sau bar aankhen kholin baalin se sar uThaya
gulshan ke taeron ne kya be-murawwati ki
yak barg-e-gul qafas mein hum tak na koi laya
be-hech us ka ghussa yaro bala-e-jaan hai
hargiz mana na hum se bahtera hi manaya
qadd-e-buland agarche be-lutf bhi nahin hai
sarw-e-chaman mein lekin andaza wo na paya
naqsha ajab hai us ka naqqash ne azal ke
matbu aisa chehra koi na phir banaya
shab ko nashe mein baham thi guftugu-e-darham
us mast ne jhankaya yani bahut jhukaya
dil-bastagi mein khulna us ka na us se dekha
baKHt-e-nigun ko hum ne sau bar aazmaya
aashiq jahan hua hai be-Dhangiyan hi ki hain
is 'mir'-e-be-KHirad ne kab Dhab se dil lagaya
(558) Peoples Rate This