Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8d00372f8ae29e72b21c8c71c5cfeb7b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Waisa Kahan Hai Humse Jaisa Ki Aage Tha Tu - Mir Taqi Mir Poetry In English - Darsaal

Waisa Kahan Hai Humse Jaisa Ki Aage Tha Tu

waisa kahan hai hum se jaisa ki aage tha tu

auron se mil ke pyare kuchh aur ho gaya tu

chaalen tamam be-Dhab baaten fareb hain sab

hasil ki ai shukr lab ab wo nahin raha tu

jate nahin uThae ye shor har sahar ke

ya ab chaman mein bulbul hum hi rahenge ya tu

aa abr ek do dam aapas mein rakhen sohbat

kuDhne ko hun main aandhi rone ko hai bala tu

taqrib par bhi to tu pahlu tahi kare hai

das bar id aai kab kab gale mila tu

tere dahan se us ko nisbat ho kuchh to kahiye

gul go kare hai dawa KHatir mein kuchh na la tu

dil kyunke rast aawe dawa-e-ashnai

dariya-e-husn wo mah-e-kashti-ba-kaf gada tu

har fard yas abhi se daftar hai tujh gale ka

hai qahr jab ki hoga harfon se aashna tu

aalam hai shauq-e-kushta-e-KHilqat hai teri rafta

jaanon ki aarzu tu aankhon ka muddaa tu

munh kariye jis taraf ko so hi teri taraf hai

par kuchh nahin hai paida kidhar hai a KHuda tu

aati ba-KHud nahin hai baad-e-bahaar ab tak

do gam tha chaman mein Tak naz se chala tu

kam meri aur aana kam aankh ka milana

karne se ye adaen hai muddaa ki ja tu

guft-o-shunud aksar mere tere rahe hai

zalim muaf rakhiyo mera kaha-suna to

kah sanjh ke mue ko ai 'mir' roin kab tak

jaise charagh-e-muflis ik-dam mein jal bujha to

(475) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waisa Kahan Hai Humse Jaisa Ki Aage Tha Tu In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Waisa Kahan Hai Humse Jaisa Ki Aage Tha Tu is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Waisa Kahan Hai Humse Jaisa Ki Aage Tha Tu for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Waisa Kahan Hai Humse Jaisa Ki Aage Tha Tu in PDF.