Wahshat Thi Hamein Bhi Wahi Ghar-bar Se Ab Tak
wahshat thi hamein bhi wahi ghar-bar se ab tak
sar mare hain apne dar o diwar se ab tak
marte hi suna un ko jinhen dil-lagi kuchh thi
achchha hua koi is aazar se ab tak
jab se lagi hain aankhen khuli rah take hain
soe nahin sath us ke kabhu pyar se ab tak
aaya tha kabhu yar so mamul hum us ke
bistar pe gire rahte hain bimar se ab tak
bad-ahdiyon mein waqt-e-wafat aan bhi pahuncha
wada na hua ek wafa yar se ab tak
hai qahr o ghazab dekh taraf kushte ke zalim
karta hai ishaarat bhi tu talwar se ab tak
kuchh ranj-e-dili 'mir' jawani mein khincha tha
zardi nahin jati mere ruKHsar se ab tak
(466) Peoples Rate This