Us Ka KHiram Dekh Ke Jaya Na Jaega
us ka KHiram dekh ke jaya na jaega
ai kabk phir bahaal bhi aaya na jaega
hum kushtgan-e-ishq hain abru-o-chashm-e-yar
sar se hamare tegh ka saya na jaega
hum rahrawan-e-rah-e-fana hain barang-e-umr
jawenge aise khoj bhi paya na jaega
phoDa sa sari raat jo pakta rahega dil
to subh tak to hath lagaya na jaega
apne shahid-e-naz se bas hath uTha ki phir
diwan-e-hashr mein use laya na jaega
ab dekh le ki sina bhi taza hua hai chaak
phir hum se apna haal dikhaya na jaega
hum be-KHud un mahfil-e-taswir ab gae
aainda hum se aap mein aaya na jaega
go be-sutun ko Tal de aage se kohkan
sang-garan-e-ishq uThaya na jaega
hum to gae the shaiKH ko insan bujh kar
par ab se KHanqah mein jaya na jaega
yaad us ki itni KHub nahin 'mir' baz aa
nadan phir wo ji se bhulaya na jaega
(536) Peoples Rate This