UlTi Ho Gain Sab Tadbiren Kuchh Na Dawa Ne Kaam Kiya
ulTi ho gain sab tadbiren kuchh na dawa ne kaam kiya
dekha is bimari-e-dil ne aaKHir kaam tamam kiya
ahd-e-jawani ro ro kaTa piri mein lin aankhen mund
yani raat bahut the jage subh hui aaram kiya
harf nahin jaan-baKHshi mein us ki KHubi apni qismat ki
hum se jo pahle kah bheja so marne ka paigham kiya
nahaq hum majburon par ye tohmat hai muKHtari ki
chahte hain so aap karen hain hum ko abas badnam kiya
sare rind aubash jahan ke tujh se sujud mein rahte hain
banke TeDhe tirchhe tikhe sab ka tujh ko imam kiya
sarzad hum se be-adabi to wahshat mein bhi kam hi hui
koson us ki or gae par sajda har har gam kiya
kis ka kaba kaisa qibla kaun haram hai kya ehram
kuche ke us ke bashindon ne sab ko yahin se salam kiya
shaiKH jo hai masjid mein nanga raat ko tha mai-KHane mein
jubba KHirqa kurta Topi masti mein inam kiya
kash ab burqa munh se uTha de warna phir kya hasil hai
aankh munde par un ne go didar ko apne aam kiya
yan ke sapid o siyah mein hum ko daKHl jo hai so itna hai
raat ko ro ro subh kiya ya din ko jun tun sham kiya
subh chaman mein us ko kahin taklif-e-hawa le aai thi
ruKH se gul ko mol liya qamat se sarw ghulam kiya
saad-e-simin donon us ke hath mein la kar chhoD diye
bhule us ke qaul-o-qasam par hae KHayal-e-KHam kiya
kaam hue hain sare zaea har saat ki samajat se
istighna ki chauguni un ne jun jun main ibram kiya
aise aahu-e-ram-KHurda ki wahshat khoni mushkil thi
sehr kiya eajaz kiya jin logon ne tujh ko ram kiya
'mir' ke din-o-mazhab ko ab puchhte kya ho un ne to
qashqa khincha dair mein baiTha kab ka tark islam kiya
(1169) Peoples Rate This