Idhar Se Abr UTh Kar Jo Gaya Hai
idhar se abr uTh kar jo gaya hai
hamari KHak par bhi ro gaya hai
masaib aur the par dil ka jaana
ajab ek saneha sa ho gaya hai
muqamir-KHana-e-afaq wo hai
ki jo aaya hai yan kuchh kho gaya hai
kuchh aao zulf ke kuche mein darpesh
mizaj apna udhar ab to gaya hai
sirhane 'mir' ke koi na bolo
abhi Tuk rote rote so gaya hai
(518) Peoples Rate This