Tha Mustaar Husn Se Uske Jo Nur Tha

tha mustaar husn se us ke jo nur tha

KHurshid mein bhi us hi ka zarra zuhur tha

hangama garm-kun jo dil-e-na-subur tha

paida har ek nale se shor-e-nushur tha

pahuncha jo aap ko to main pahuncha KHuda ke tain

malum ab hua ki bahut main bhi dur tha

aatish buland dil ki na thi warna ai kalim

yak shoala barq-e-KHiraman-e-sad-koh-e-tur tha

majlis mein raat ek tere partawe baghair

kya shama kya patang har ek be-huzur tha

us fasl mein ki gul ka gareban bhi hai hawa

diwana ho gaya so bahut zi-shuur tha

munim ke pas qaqum o sanjab tha to kya

us rind ki bhi raat guzar gai jo ur tha

hum KHak mein mile to mile lekin ai siphar

us shoKH ko bhi rah pe lana zarur tha

kal panw ek kasa-e-sar par jo aa gaya

yaksar wo ustuKHwan shikaston se chur tha

kahne laga ki dekh ke chal rah be-KHabar

main bhi kabhu kisu ka sar-e-pur-ghurur tha

tha wo to rashk-e-hur-e-bahishti hamin mein 'mir'

samjhe na hum to fahm ka apni qusur tha

(1243) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tha Mustaar Husn Se Uske Jo Nur Tha In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Tha Mustaar Husn Se Uske Jo Nur Tha is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Tha Mustaar Husn Se Uske Jo Nur Tha for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Tha Mustaar Husn Se Uske Jo Nur Tha in PDF.