Tera RuKH-e-muKHattat Quran Hai Hamara
tera ruKH-e-muKHattat quran hai hamara
bosa bhi len to kya hai iman hai hamara
gar hai ye be-qarari to rah chuka baghal mein
do roz dil hamara mehman hai hamara
hain is KHarab dil se mashhur shahr-e-KHuban
is sari basti mein ghar viran hai hamara
mushkil bahut hai hum sa phir koi hath aana
yun marna to pyare aasan hai hamara
idris o KHizr o isa qatil se hum chhuDae
un KHun-giraftagan par ehsan hai hamara
hum we hain sun rakho tum mar jaen ruk ke yakja
kya kucha kucha phirna unwan hai hamara
hain said-gah ke meri sayyaad kya na dhaDke
kahte hain said jo hai be-jaan hai hamara
karte hain baaten kis kis hangame ki ye zahid
diwan-e-hashr goya diwan hai hamara
KHurshid-ru ka partaw aankhon mein roz haiga
yani ki sharq-ruya dalan hai hamara
mahiyyat-e-do-alam khati phire hai ghote
yak qatra KHun ye dil tufan hai hamara
nale mein apne har shab aate hain hum bhi pinhan
ghafil teri gali mein mindan hai hamara
kya KHandan ka apne tujh se kahen taqaddus
ruhul-qudus ek adna darban hai hamara
karta hai kaam wo dil jo aql mein na aawe
ghar ka mushir kitna nadan hai hamara
ji ja na aah zalim tera hi to hai sab kuchh
kis munh se phir kahen ji qurban hai hamara
banjar zamin dil ki hai 'mir' milk apni
pur-dagh sina mohr-e-farman hai hamara
(538) Peoples Rate This