Suna Hai Haal Tere Kushtagan Bechaaron Ka
suna hai haal tere kushtagan bechaaron ka
hua na gor gaDha un sitam ke maron ka
hazar rang khile gul chaman ke hain shahid
ki rozgar ke sar KHun hai hazaron ka
mila hai KHak mein kis kis tarah ka aalam yan
nikal ke shahr se Tak sair kar mazaron ka
araq-fishani se us zulf ki hirasan hun
bhala nahin hai bahut TuTna bhi taron ka
ilaj karte hain sauda-e-ishq ka mere
KHalal-pazir hua hai dimagh yaron ka
teri hi zulf ko mahshar mein hum dikha denge
jo koi mangega nama siyahkaron ka
KHarash-e-sina-e-ashiq bhi dil ko lag jae
ajab tarah ka hai firqa ye dil-figaron ka
nigah-e-mast ke mare teri KHarab hain shoKH
na Thor hai na Thikana hai hoshyaron ka
karen hain dawa KHush-chashmi-e-ahuwan-e-dast
Tak ek dekhne chal malak un ganwaron ka
taDap ke marne se dil ke ki maghfirat ho use
jahan mein kuchh to raha nam be-qararon ka
taDap ke KHirman-e-gul par kabhi gir ai bijli
jalana kiya hai mere aashiyan ke KHaron ka
tumhein to zohd-o-wara par bahut hai apne ghurur
KHuda hai shaiKH-ji hum bhi gunahgaron ka
uThe hai gard ki ja nala gor se is ki
ghubar-e-'mir' bhi aashiq hai ne sawaron ka
(516) Peoples Rate This