Sozish Dil Se Muft Galte Hain
sozish dil se muft galte hain
dagh jaise charagh julte hain
is tarah dil gaya ki ab tak hum
baiThe rote hain hath milte hain
bhari aati hain aaj yun aankhen
jaise dariya kahin ubalte hain
dam-e-aKHir hai baiTh ja mat ja
sabr kar Tak ki hum bhi chalte hain
tere be-KHud jo hain so kiya chiten
aise Dube kahin uchhalte hain
fitna dar-sar-e-hashr-e-KHiram
hae re kis Thasak se chalte hain
nazar uThti nahin ki jab KHuban
sote se uTh ke aankh milte hain
is sar-e-zulf ka KHayal na chhoD
sanp ke sar hi yan kuchalte hain
the jo aghyar sang sine ke
ab to kuchh hum ko dekh Talte hain
shama-ru mom ke bane hain magar
garm Tak maliye to pighalte hain
'mir'-sahib ko dekhiye jo bane
ab bahut ghar se kam nikalte hain
(438) Peoples Rate This