Shauq Hai To Hai Us Ka Ghar Nazdik

shauq hai to hai us ka ghar nazdik

duri-e-rah hai rahbar nazdik

aah karne mein dam ko sadhe rah

kahte hain dil se hai jigar nazdik

dur walon ko bhi na pahunche hum

yahi na tum se hain magar nazdik

Duben dariya-o-koh-o-shahr-o-dasht

tujh se sab kuchh hai chashm-e-tar nazdik

harf duri hai garche insha lek

dijo KHat ja ke nama-bar nazdik

dur ab baiThte hain majlis mein

hum jo tum se the beshtar nazdik

KHabar aati hai so bhi dur se yan

aao yak-bar be-KHabar nazdik

tosha-e-aKHirat ka fikr rahe

ji se jaane ka hai safar nazdik

daur phirne ka hum se waqt gaya

puchh kuchh haal baiTh kar nazdik

mar bhi rah 'mir' shab bahut roya

hai meri jaan ab sahar nazdik

(516) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shauq Hai To Hai Us Ka Ghar Nazdik In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Shauq Hai To Hai Us Ka Ghar Nazdik is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Shauq Hai To Hai Us Ka Ghar Nazdik for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Shauq Hai To Hai Us Ka Ghar Nazdik in PDF.