Rahta Hai HaDDiyon Se Meri Jo Huma Laga
rahta hai haDDiyon se meri jo huma laga
kuchh dard-e-ashiqi ka use bhi maza laga
ghafil na soz-e-ishq se rah phir kabab hai
gar laeha us aag ka Tak dil ko ja laga
dekha hamein jahan wo tahan aag ho gaya
bhaDka rakha hai logon ne is ko laga laga
mohlat tanik bhi ho to suKHan kuchh asar kare
main uTh gaya ki ghair tere kanon aa laga
ab aab-e-chashm hi hai hamara muhit-e-KHalq
dariya ko hum ne kab ka kinare rakha laga
har-chand us ki tegh-e-sitam thi buland lek
wo taur bad hamein to qayamat bhala laga
majlis mein us ki bar na mujh ko mili kabhu
darwaze hi se garche bahut main raha laga
bosa labon ka mangte hi munh bigaD gaya
kya itni meri baat ka tum ko bura laga
aalam ki sair 'mir' ki sohbat mein ho gai
talea se mere hath ye be-dast-o-pa laga
(454) Peoples Rate This