Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9cbed0cef941d2e8021ddaf119c4b456, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Rahe KHayal Tanik Hum Bhi Ru-siyahon Ka - Mir Taqi Mir Poetry In English - Darsaal

Rahe KHayal Tanik Hum Bhi Ru-siyahon Ka

rahe KHayal tanik hum bhi ru-siyahon ka

lage ho KHun bahut karne be-gunahon ka

nahin sitare ye suraKH paD gae hain tamam

falak harif hua tha hamari aahon ka

gali mein us ki phaTe kapDon par mere mat ja

libas-e-faqr hai wan faKHr baadshahon ka

tamam zulf ke kuche hain mar-e-pech us ki

tujhi ko aawe dila chalna aisi rahon ka

usi jo KHubi se lae tujhe qayamat mein

to harf-e-kun ne kiya gosh dad-KHwahon ka

tamam-umr rahen KHak zer-e-pa us ki

jo zor kuchh chale hum ijz dast-gahon ka

kahan se tah karen paida ye naziman-e-haal

ki poch-bafi hi hai kaam in julahon ka

hisab kahe ka roz-e-shumar mein mujh se

shumar hi nahin hai kuchh mere gunahon ka

teri jo aankhen hain talwar ke tale bhi idhar

fareb-KHurda hai tu 'mir' kin nigahon ka

(509) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahe KHayal Tanik Hum Bhi Ru-siyahon Ka In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Rahe KHayal Tanik Hum Bhi Ru-siyahon Ka is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Rahe KHayal Tanik Hum Bhi Ru-siyahon Ka for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Rahe KHayal Tanik Hum Bhi Ru-siyahon Ka in PDF.