Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_78cde4104861360789b0fd23cb3590a1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Raat Pyasa Tha Mere Lohu Ka - Mir Taqi Mir Poetry In English - Darsaal

Raat Pyasa Tha Mere Lohu Ka

raat pyasa tha mere lohu ka

hun diwana tere sag ko ka

shola-e-ah jun-tun ab mujh ko

fikr hai apne har bin mu ka

hai mere yar ki mison ka rashk

kushta hun sabza-e-lab-e-ju ka

bosa dena mujhe na kar mauquf

hai wazifa yahi dua-go ka

main ne talwar se hiran mare

ishq kar teri chashm-o-abru ka

shor qulqul ke hoti thi mane

rish-e-qazi pe raat main thuka

itr-agin hai baad-e-subh magar

khul gaya pech-e-zulf KHushbu ka

ek do hun to sahar-e-chashm kahun

karKHana hai wan to jadu ka

'mir' har-chand main ne chaha lek

na chhupa ishq-e-tifl bad-KHu ka

nam us ka liya idhar-udhar

uD gaya rang hi mere ru ka

(484) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Pyasa Tha Mere Lohu Ka In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Raat Pyasa Tha Mere Lohu Ka is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Raat Pyasa Tha Mere Lohu Ka for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Raat Pyasa Tha Mere Lohu Ka in PDF.