Raat Guzre Hai Mujhe Naza Mein Rote Rote
raat guzre hai mujhe naza mein rote rote
aankhen phir jaengi ab subh ke hote hote
khol kar aankh uDa did jahan ka ghafil
KHwab ho jaega phir jagna sote sote
dagh ugte rahe dil mein meri naumidi se
haara main tuKHm-e-tamanna ko bhi bote bote
ji chala tha ki tere honTh mujhe yaad aae
lal paen hain main is ji hi ke khote khote
jam gaya KHun kaf-e-qatil pe tera 'mir' zi-bas
un ne ro ro diya kal hath ko dhote dhote
(407) Peoples Rate This