Qabu KHizan Se Zoaf Ka Gulshan Main Ban Gaya
qabu KHizan se zoaf ka gulshan main ban gaya
dosh-e-hawa pe rang-e-gul-o-yasaman gaya
bargashta-baKHt dekh ki qasid safar se main
bheja tha us ke pas so mere watan gaya
KHatir-nishan ai said-fagan hogi kab teri
tiron ke mare mera kaleja to chhan gaya
yaadash-ba-KHair dasht mein manind-e-ankabut
daman ke apne tar jo KHaron pe tan gaya
mara tha kis libas mein uryani ne mujhe
jis se tah-e-zamin bhi main be-kafan gaya
aai agar bahaar to ab hum ko kya saba
hum se to aashiyan bhi gaya aur chaman gaya
sarsabz mulk-e-hind mein aisa hua ki 'mir'
ye reKHta likha hua tera dakan gaya
(445) Peoples Rate This